Shabe Bara’at, Fazail, Masail, Bida’at

Mutakallime Islam Maulana Ilyas Ghumman Sahab Hafizahullah

Maah e Sha’aban Ki 15vi Raat Bohot Fazeelat Wali Raat Hai, Ahadees Mubaraka Mein Is Ke Bohot Se Fazail Warid Hue Hain Aur Aslaaf e Ummat Bhi Iski Fazeelat Ke Qail Chale Aa Rahe Hain.
Is Raat Ko “Shabe Bara’at” Kehte Hain, Isliye Ki Is Raat La Ta’daad (Uncountable) Insan Rehmat e Baari Ta’ala Se Jahannam Se Nijat Hasil Karte Hain.

⭕ Shabe Bara’at Ke Mutalliq Log Ifraat Wa Tafreet Ka Shikaar Hain, Baaz To Woh Hain Jo Sire Se Iski Fazeelat Ke Qayil Hi Nahi Balki Iski Fazeelat Mein Jo Ahadees Marwi Hain Unhe Mauzu Wa Manghadat Qarar Dete Hain, Jabki Baaz Fazeelat Ke Qail To Hain Lekin Is Fazeelaf Ke Husool Mein Be Shumaar Bida’at, Rusumaat Aur Khud Sakhta (Khud Banayi Hui) Umoor Ke Murtakib Hain, Ibadaat Ke Naam Per Aise Munkiraat Sar Anjaam Dete Hain Ke Al-Amaan Wal-Hafeez..

Is Baare Mein Moatadil (Darniyana) Nazariya Yeh Hai Ke Shaban Ki Is Raat Ki Fazeelat Sabit Hai Lekin Is Ka Darja Farz Aur Wajib Ka Nahi Balki Mehaz Istehbab Ka Hai, Sire Se Is Ki Fazeelat Ka Inkar Karna Bhi Saheeh Nahi Aur Is Mein Kiye Jane Waale Aama Ko Farz Aur Wajib Ka Darja Dena Bhi Durust Nahi.

Fazeelat e Shabe Bara’at Ahadees Mubaarakah Se:-
Shabe Bara’at Ki Fazeelat Mein Bohot Si Ahadees Marwi Hain, Agarche In Mein Se Baaz Sanad Ke Aitebar Se Zaeef Hain Lekin Choonke Fazail Mein Zaeef Ahadees Bhi Maqbool Hain.
(Tafseel Ke Liye Dekhiye Meri Kitab “Fazaile Aamal Aur Aitrazat Ka Ilmi Jayiza” Page No. 12-13)
Aur Kasrat E Riwayaat Wa Isnaad Mil Kar Us Zoaf Ko Door Kar Deti Hain, Mazeed Ummat Ka Ta’aammul Aur Aslaaf Ka Is Raat Ke Qayam Par Amal Paira Chale Aana Is Baat Ki Daleel Hai Ke Yeh Riwayaat Maqbool Hain Aur Layilatul Bara’at Ki Asl Zaroor Hai. Chand Riwayaat Naqal Ki Jaati Hain:-

Hadees Number ①

أَتَدْرِينَ أَيَّ لَيْلَةٍ هَذِهِ ؟ “، قُلْتُ: اللهُ وَرَسُولُهُ أَعْلَمُ، قَالَ: ” هَذِهِ لَيْلَةُ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ، إِنَّ اللهَ عَزَّ وَجَلَّ يَطْلُعُ عَلَى عِبَادِهِ فِي لَيْلَةِ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ فَيَغْفِرُ لِلْمُسْتَغْفِرِينَ، وَيَرْحَمُ الْمُسْتَرْحِمِينَ، وَيُؤَخِّرُ أَهْلَ الْحِقْدِ كَمَا هُمْ ۔
قال الامام البیہقی: هَذَا مُرْسَلٌ جَيِّدٌ
(شعب الایمان للبیہقی: رقم الحدیث 3554، جامع الاحادیث للسیوطی: رقم 7265،کنز العمال: رقم الحدیث 7450)
Tarjamah :-
Hazrat Ayesha Rz.a. Se Riwayat Hai Ke (Ek Raat) Aap ﷺ Ne Irshad Farmaya:-
(Aye Ayesha) Kya Tumhe Maloom Hai Ke Yeh Raat Kaunsi Raat Hai?
Maine Arz Kiya:-
Ke Allah Aur Uska Rasool Zyadah Jaante Hain.
Aap ﷺ Ne Farmaya:-
Yeh Shaban Ki Pandrahvi (15th) Raat Hai, Is Raat Allah Rabbul Izzat Apne Bando Per Nazar e Rehmat Farmate Hain; Bakhshish Chahne Walo Ko Bakhsh Dete Hain, Rehem Chahne Walo Per Rehem Farmate Hain, Aur Bughz Rakhne Walo Ko Unke Haal Per Chhod Dete Hain.
Shoabul Iman Lil Baihaqi, Hadees 3554,
Jame’ul Ahadees Lil Suyooti, Hadees 7265,
Kanzul Ummaal, Hadees 7450

Hadees Number ②

عَنِ أَبِي بَكْرٍالصِّدِّیْقِ عَنِ النَّبِيِّ صَلَّى اللَّهُ عَلَيْهِ وَسَلَّمَ، قَالَ: ” يَنْزِلُ اللهُ إِلَى السَّمَاءِ الدُّنْيَا لَيْلَةَ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ فَيَغْفِرُ لِكُلِّ شَيْءٍ إِلَّا رَجُلٍ مُشْرِكٍ أَوْ فِي قَلْبِهِ شَحْنَاءُ
(شعب الایمان للبیہقی: رقم الحدیث3546، مجمع الزوائد للہیثمی: رقم 12957)
قال الہیثمی: رواه البزار وفيه عبد الملك بن عبد الملك ذكره ابن أبي حاتم في الجرح والتعديل ولم يضعفه وبقية رجاله ثقات (مجمع الزوائد للہیثمی:تحت الرقم 12957)
قال المنذری: اسنادہ لا باس بہ
(الترغیب و الترہیب: تحت الرقم 4190)

Tarjamah:-
Hazrat Abu Bakr Siddeeq Rz.a. Se Riwayat Hai Ke Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya:-
Allah Ta’ala Shaban Ki Pandrahvi (15th) Raat Aasmane Duniya Ki Taraf Nuzool Farmate Hain (کما یلیق بشانہ) Us Raat Har Ek Ki Maghfirat Kardi Jaati Hai Siwaye Us Shakhs Ke Jo Allah Ke Sath Shareek Thehrane Wala Ho Ya Woh Shakhs Jis Ke Dil Mein (Kisi Musalman Ke Khilaf) Keenah Bhara Ho.
Shoabul Iman Lil Bayhaqee Hadees 3546
Majmauz Zawa’id Lil Haysamee Hadees 12957
At-Targheeb Wa Tarheeb Hadees 4190

Hadees Number ③

عن عائشة عن النبي صلى الله عليه وسلم قال : هل تدرين ما هذه الليل ؟ يعني ليلة النصف من شعبان قالت : ما فيها يا رسول الله فقال : فيها أن يكتب كل مولود من بني آدم في هذه السنة وفيها أن يكتب كل هالك من بني آدم في هذه السنة وفيها ترفع أعمالهم وفيها تنزل أرزاقهم۔
(مشکوۃ المصابیح: رقم الحدیث1305)
Tarjamah :-
Hazrat Ayesha Rz.a. Huzoor ﷺ Se Riwayat Farmate Hain Ke Aap ﷺ  Ne Farmaya:-
(Ae Ayesha!) Kya Tumhe Maloom Hai Ke Is Raat Yani Pandrahvi (15th) Raat Mein Kya Hota Hai?
Hazrat Ayesha Rz.a. Ne Arz Kiya: Ya Rasoolullah! Is Mein Kya Hota Hai? To Aap ﷺ Ne Farmaya:- Is Saal Jitne Insan Paida Hone Wale Hote Hain Woh Is Raat Mein likh Diye Jaate Hain Aur Jitne Log Is Saal Mein Marne Wale Hote Hain Woh Bhi Is Raat Mein Likh Diye Jaate Hain, Is Raat Bani Aadam Ke Aamal Uthaye Jate Hain Aur Isi Raat Mein Logo Ki Muqarrara Rozi Utaari Jaati Hai.
Tanbeeh:-
Is Hadees Se To Maloom Hota Hai Ke Shabe Bara’at Ke Baad Wale Saal Mein Paida Hone Wale Aur Faut Hone Wale Insano Ke Naam Wagairah Is Raat Mein Likhe Jaate Hain Jabki Yeh Cheeze To Lauhe Mehfooz Mein Likhi Jaa Chuki Hain, Phir Likhne Ka Kya Matlab?
Jawab Yeh Hai Ke Is Raat Mein Likhne Se Muraad Yeh Hai Ke Lauhe Mehfooz Se Fehristein Likh Kar Un Umoor Se Mutalliq Farishto Ke Supurd Ki Jaati Hain.
Wallahu Aalam Bis-Sawaab.

Hadees Number ④

آنحضرت صلی اللہ علیہ وسلم کا ارشاد ہے:
أَتَانِي جِبْرِيلُ عَلَيْهِ السَّلَامُ، فَقَالَ: هَذِهِ اللَّيْلَةُ لَيْلَةُ النِّصْفِ مِنْ شَعْبَانَ وَلِلَّهِ فِيهَا عُتَقَاءُ مِنَ النَّارِ بِعَدَدِ شُعُورِ غَنَمِ كَلْبٍ، لَا يَنْظُرُ اللهُ فِيهَا إِلَى مُشْرِكٍ، وَلَا إِلَى مُشَاحِنٍ ، وَلَا إِلَى قَاطِعِ رَحِمٍ، وَلَا إِلَى مُسْبِلٍ ، وَلَا إِلَى عَاقٍّ لِوَ الِدَيْهِ، وَلَا إِلَى مُدْمِنِ خَمْرٍ
(شعب الایمان للبیہقی: رقم الحدیث3556، الترغیب و الترہیب للمنذری: رقم الحدیث 1547)
Tarjamah:-
Rasoolullah ﷺ Ka Irshad Hai Hazrat Jibrail A.S. Mere Paas Tashreef Laye Aur Farmaya:- Yeh Shaban Ki Pandrahvi (15th) Raat Hai, Is Raat Mein Allah Ta’ala Qabeela Kalb Ki Bakriyo Ke Baalo(Hairs) Ke Barabar Logo Ko Jahannam Se Aazaad Farmata Hai Lekin Is Raat Mein Mushrik, Keenah Rakhne Wale, Qata’ Rehmi (Rishte Todne) Wale, Izaar Takhno Se Neeche Rakhne Wale, Maan Baap Ke Na-Farman Aur Sharab Ke Aadi Ki Taraf Nazar (Rehmat) Nahi Farmate.
Shoabul Iman Lil Bayhaqee Hadees 3556,
At Targheeb Wa Tarheeb Hadees 1547

Mazeed(Aur Zyada) Maloomat Ke Liye “Shabe Bara’at Ki Fazeelat” Az Maulana Naeemuddin Sahab Mulahizah Farmaein. Yeh Kitab Internet Se Download Ki Ja Sakti Hai.

Shab e Bara’at Akabireene Ummat Ki Nazar Mein:-
1. Jaleelul Qadr Tabi’ee Hazrat Ata Bin Yasaar Rahimahullah Farmate Hain:-
مَا مِنْ لَيْلَةٍ بَعْدَ لَيْلَةِ الْقَدْرِ أَفْضَلُ مِنْ لَيْلَةِ النِّصْفِ من شَعْبَانَ
(لطائف المعارف: ابن رجب الحنبلی: ص151)
Tarjamah:-
Lailaltul Qadr Ke Baad Shaban Ki 15vi Raat Se Zyada Afzal Koi Raat Nahi.
Lataiful Mu’aarif Ibn Rajab Hanbali Page 151

2. Allama Ibn Rajab Al-Hanbali Rahimahullah Farmate Hain:-
لَيْلَةِ النِّصْفِ من شَعْبَانَ كَانَ التَّابِعُوْنَ مِنْ أَهْلِ الشَّامِ كَخَالِدِ بْنِ مَعْدَانَ وَمَكْحُوْلٍ وَ لُقْمَانَ بْنِ عَامِرٍ وَ غَيْرِهِمْ ،يُعَظِّمُوْنَهَا وَ يَجْتَهِدُوْنَ فِيْهَا فِي الْعِبَادَةِ وَ عَنْهُمْ أَخَذَالنَّاسُ فَضْلَهَا وَ تَعْظِيْمَهَا۔
(لطائف المعارف: ابن رجب الحنبلی: ص151)
Tarjamah:-
Ahle Shaam Ke Tabieen Hazraat Maslan Imam Khalid Bin Ma’dan, Imam Mak’hool, Imam Luqman Bin Aamir Wagairah Shaban Ki 15vi Raat Ki Ta’zeem Karte The Aur Is Raat Khoob Mehnat Se Ibadat Farmate The. Un Hi Hazraat Se Logo Ne Shabe Bara’at Ki Fazeelat Ko Liya
Lataiful Muarif Ibn Rajab Hanbali Page 151

3. Imam Muhammad Bin Idrees Shafai Rahimaullah Farmate Hain:-
وَبَلَغَنَا أَنَّهُ كان يُقَالُ إنَّ الدُّعَاءَ يُسْتَجَابُ في خَمْسِ لَيَالٍ في لَيْلَةِ الْجُمُعَةِ وَلَيْلَةِ الْأَضْحَى وَلَيْلَةِ الْفِطْرِ وَأَوَّلِ لَيْلَةٍ من رَجَبٍ وَلَيْلَةِ النِّصْفِ من شَعْبَانَ وأنا أَسْتَحِبُّ كُلَّ ما حُكِيَتْ في هذه اللَّيَالِيِ من غَيْرِ أَنْ يَكُونَ فَرْضًا
(کتاب الام للشافعی: ج1 ص231 العبادة لیلۃ العيدين، السنن الکبریٰ للبیہقی: ج3، ص319)
Tarjamah:-
Hame Yeh Baat Pahunchi Hai Kaha Jata Tha Ke 5 Raato Mein Dua (Zyada) Qubool Hoti Hai.
1. Juma Ki Raat,
2. Eidul Azha Ki Raat,
3. Eidul Fitr Ki Raat,
4. Rajab Ki Pehli Raat,
5. Nisf Shaban Ki Raat.
Maine In Raato Ke Mutalliq Jo Bayan Kiya Hai Use Mustahab Samajhta Hoon Farz Nahi Samajhta.
📚 Kitabul umm Lil Shafai Jild 1 Page 231 Al-Ibadah Laylatul Eidain,
Sunan Alkubra Lil Bayhaqee Jild 3 Page 319

4. Allama Zainuddin Bin Ibraheem Shaheerbani Najeemul Misri Al-Hanafi Rahimahullah Farmate Hain:-
وَمِنْ الْمَنْدُوبَاتِ إحْيَاءُ لَيَالِي الْعَشْرِ من رَمَضَانَ وَلَيْلَتَيْ الْعِيدَيْنِ وَلَيَالِي عَشْرِ ذِي الْحِجَّةِ وَلَيْلَةِ النِّصْفِ من شَعْبَانَ كما وَرَدَتْ بِهِ الْأَحَادِيثُ وَذَكَرَهَا في التَّرْغِيبِ وَالتَّرْهِيبِ مُفَصَّلَةً
(البحر الرائق لابن نجیم: ج2، ص56)
Tarjamah:-
Ramazan Ki Akhri 10 Raato Mein, Eidain Ki Raato Mein, Zulhijjah Ki 10 Raato Mein, Shaban Ki 15vi Raat Mein Shab Bedaari Karna Mustahibbat Mein Se Hai Jaisa Ke Ahadees Mein Aaya Hai Aur Allama Munzari Rahimahullah Ne Inhe At-Targheeb Wa Tarheeb Mein Mufassalan Bayan Kiya Hai.
Al Behrur Raaiq Labne Najeem Jild 2 Page 56

5. Khaatimatul Muhaddiseen Hazrat Maulana Allama Muhammad Anwar Shah Kashmiri Rahimahullah Farmate Hain:-
اِنَّ هٰذِهِ اللَّيْلَةَ لَيْلَةُ الْبَرَاءَةِ وَصَحَّ الرِّوَايَاتُ فِي فَضّلِ لَيْلَةِ الْبَرَاءَةِ
(العرف الشذی: ج2 ص250 )
Tarjamah:-
Yeh Raat “Lailatul Bara’at” Hai Aur Is Raat Ki Fazeelat Ke Baare Mein Ahadees Saheeh Hain.
Al Urful Shazi Jild 2 Page 250

6. Hakeemul Ummat Mujaddid Al-Millat Hazrat Maulana Muhammad Ashraf Ali Thanvi Rahimahullah Farmate Hain:-
Shabe Bara’at Ki Itni Asl Hai Ke 15vi Raat 15va Din Is Maheene Ka Bohot Buzurgi Aur Barkat Ka Hai.
Bahishti Zewar Hissa 6 Page 58

7. Shaikhul Islam Hazrat Maulana Mufti Muhammad Taqi Usmani D.B. Farmate Hain:-
Shabe Bara’at Ki Fazeelat Mein Bohot Se Riwayaat Marwi Hain, Jin Mein Se Beshtar Allama Suyooti Rh.a. Ne “Ad-Durrul Mansoor” Mein Jama Kardi Hain… Un Riwayaat Ke Zoaf Ke Bawajood Shabe Bara’at Mein Ahtemam Ibadat Bidat Nahi, Awwal To Is liye Ke Riwayaaat Ki Tadaad Aur Unka Majmooa Id Per Daleel Hai Ke Lailatul Bara’at Ki Fazeelat Be Asl Nahi, Dusre Ummat Ka Ta’aammul Lailatul Bara’at Mein Be-daari Aur Ibadat Ka Khaas Autemam Karne Ka Raha hai Aur Yeh Baat Kayi Martabah Guzar Chuki Hai Ke Jo Bhi Zaeef Riwayat Muweed Bi Ta’ammul Hai Woh Maqbool Hoti Hai, Lihaza Lailatul Bara’at Ki Fazeelat Sabit Hai Aur Hamare Zamane Ke Baaz Zahir Parast Logo Ne Ahadees Ke Mehez Isnaadi Zoaf Ko Dekh Kar Lailatul Bara’at Ki Fazeelat Ko Be Asar Qaraar Dene Ki Jo Koshish Ki Hai Woh Durust Nahi.
Darse Tirmizi Jild 2 Page 579

15vi Shaban Ka Roza:-

Hazrat Ali Rz.a. Se Riwayat Hai Farmate Hain:-
عن علي بن أبي طالب قال : قال رسول الله صلى الله عليه و سلم إذا كانت ليلة النصف من شعبان فقوموا ليلها وصوموا نهارها . فإن الله ينزل فيها لغروب الشمس إلى سماء الدنيا . فيقول ألا من مستغفر لي فأغفر له ألا من مسترزق فأرزقه ألا مبتلى فأعافيه ألا كذا ألا كذا حتى يطلع الفجر
(سنن ابن ماجہ: رقم الحدیث 1388 ،شعب الایمان للبیہقی: ج3، ص378)
Tarjamah:-
Janab Rasoolullah ﷺ Ne Farmaya: Jab Shaban Ki 15vi Raat Aaye To Us Raat Qayam Karo Aur din Ko Roza Rakho Kyunki Allah Ta’ala Sooraj Ghuroob Hone Se (Le Kar Subah Sadiq Tak) Aasmane Duniya Per (Jaisi Uski Shan Hai) Nuzool Farmate Hai Aur Irshad Farmate Hain:-
“Hai Koi Bakhshish Talab Karne Wala? To Main Usko Bakhs Doon! Hai Koi Rizq Ka Talib? Main Usko Rizq Doon? Hai Koi Museebat Zada? Main Us Ko Museebat Se Nijat Doon! Hai Koi Aisa? Hai Koi Aisa? Allah Rabbul Izzat Ki Taraf Se Ye Ailan Ye Ailan Subah Sadiq Tak Jaari Rehta Hai.”
Sunan Ibn Majah Hadees 1388
Shoabul Iman Lil Bayhaqee Jild 3 Page 378
Is Hadees Mein 15 Shaban Ke Roze Ka Tazkirah Hai Aur Pehle Guzar Chuka Hai Ke Aap ﷺ Shaban Mein Kasrat Se Roze Rakha Karte The. Neez Aaan Hazrat ﷺ Ayyame Beez (Har Mahine Mein 13, 14, Aur 15) Ke Roze Bhi Rakha Karte The Aur 15 Shaban Bhi Unhi Taarikho Mein Se Hai, In Wujooh Se Baaz Ulama e Karam Ne 15 Shaban Ka Roza Mustahab Qarar Diya Hai. Lekin Yeh Lihaz Rahe Ke Aise Ise Sunnat Ya Zaroori Na Samajha Jaye.

Sadr Mufti Darul Uloom Deoband Mufti Azeezur Rehman Rahimahullah Farmate Hain:-
15vi Tareekh Shaban ka Roza Mustahab Hai, Agra Koi Rakhe To Sawab Hai Aur Na Rakhe To Kuch Haraj Nahi Hai.
Fatawa Darul Uloom Deoband Jild 6 Page 309

Shabe Bara’at Mein Qabristan Jana:-
Hazrat Ayesha Rz.a. Se Marwi Hai:-
فقدت رسول الله صلى الله عليه و سلم ليلة فخرجت فإذا هو بالبقيع فقال أكنت تخافين أن يحيف الله عليك ورسوله ؟ قلت يا رسول الله إني ظننت أنك أتيت بعض نساءك فقال إن الله عز و جل ينزل ليلة النصف من شعبان إلى السماء الدنيا فيفغر لأكثر من عدد شعر غنم كلب
(جامع الترمذی رقم:739)
Tarjamah:-
Ek Raat Mein Aap ﷺ Ko Apne Paas Na Paya, To Makn Aap Ki Talash Mein Nikli, Pas Kya Dekha ke Aap ﷺ Jannatul Baqee’ Mein Tashreef Farma The, Aap ﷺ Ne Farmaya:- Kya Tumhe Andesha Hai Ke Allah Aur Uska Rasool Tum Per Zyadati Kar Sakte Hain? To Maine Arz Kiya:- Ya Rasoolullah ﷺ Mujhe Yeh Guman Hua Ke Aap Shayad Dusri Ahliya ke Paas Tashreef Le Gaye Hain. To Aap ﷺ Ne farmaya Allah Ta’ala Shaban Ki 15vi Raat Aasmane Duniya Ki Taraf Nuzool Farmate Hain Qabeela Kalb Ki Bakriyo Ke baalo Se Bhi Zyada Logo Ki Bakhshish Farmate Hain.
Is Riwayat Se Huzoor ﷺ Ka Shabe Bara’at Mein Qabristan Jaana Maloom Hua Lekin Aap Ka Is per Mudaawat Ikhtiyar Karna Sabit Nahi Lihaza Ise Sunnat Mustamirah Na kaha Jayega Balki  Shabe Bara’at Mein Kabhi Kabhi Ziyawat e Quboor Ke liye Chala Jaye To Muzaiqa Nahi lekin Har Shab Barat ‘at Mein Jaane ka Ahtemam Wa Iltizam Karna, Ise Zaroori Samajhna, Ise Shabe Bara’ay Ke Arkaan Mein Dakhil Karna Aur Qabristan Ki Is Haziri Ko Shabe Bara’at Ka Juzwe Lazim samajhna Munkiraat Mein Se Hai, Quboor Per Ijtimayi Haaziri Mela Thela Ka Samaa Aur Charaghan Karna Waherah Aise Umoor Mein Jo Bidaat Hain Is Tarah Ye Amal Mustahab Nahi Balki Gunah Ban Jayega Huzoor ﷺ Se Jis Darje Mein Yeh Amal Sabit Hua Usi Mejn Rakha Jaye Taake Woh Amal Munkir aur Gunah Hone se Bach Jaye.

Shaikhul Islam Hazrat Maulana Mufti Taqi Usmani D.B. Farmate Hain:-
Hazrat Ayesha Rz.a Ki Hadeese Baab Se Lailatul Bara’at Mein Aap ﷺ Ka Baqee’ Jaana Maloom Hua, Jo Shabe Bara’at Mein Qabristan Jaane ki Asl Hai, Lekin Choonke Nabi Kareem ﷺ Se Is Per Mudawamat Sabit Nahi Isliye Is Ko Sunnate Mutamirrah Ka Darjah Dena Bhi Saheeh Nahi, Haan Kabhi Kabhi Chala jaye to Muzaiqa Nahi.
Darse Tirmizi Jild 2 Page 581

Shabe Bara’t Ki Chand Bidaat Wa Munkiraat❗

1. Masajid Mein Shab Bedaari Ke Liye Awaam Ka Ijtina Karna, Ishtehar Aur Ailan Ke Zariye Logo Ko Jama Karna.

2. Shabe Bara’at Mein Khaas Qism Ki Namaze Padhna, Misal Ke Taur Per Ek Mauzoo Or Man-Ghadat Riwayat Ki Buniyad Per 100 Rakat Waali Namaz Pesh Ki Jaati Hai.
Darse Tirmizi Jild 2 Page 579

3. Shabe Bara’at Mein Halwa Ka Pabandi Se Pakana Aur Us ke Baghair Shabe Bara’at Ki Fazeaf Se Mehroom Hone Ka Nazariya Rakhna.

4. Shabe Bara’at Mein Faut Shudah (Mare Hue Logo) Ki Rooh Ka Apne Gharo Mein Wapas Aane Ka Aqeeda Rakhna.

5. Shabe Bara’at Mein Qabristan Mein Mela Karna, Charaghaan Karna Aur Jama’ato Aur Toliyo Ki Shakal Mein Jama Hona.

6. Shabe Bara’at Mein Masoor Ki Daal Pakane Ko Zaroori Samajhna

7. Shabe Bara’at Mein Aatish Baazi Karna.

Allah Ta’ala Amal Ki Taufeeq Ata Farmaye